October 21, 2017

Shayer e Nazuk Khayal hai




Didar ki hawas hai na shauk-e-visal hai
Aazad har khayal se mast-e-khayal hai

Keh do ye kohkan se hi marna nahin kamal
Mar mar ke hijra-e-yaar main jina kamal hai

Fatwa diya hai mufti abra-e-bahar ne
Tauba ka khoon bada-kashon ko halal hai

Aakhein bata rahin hain jaage ho raat ko
Inn saagron mein boo-e-sharab-e-wisal hai

Barsao teer mujhpe par itna jaan lo
Pehlu me dil hai, dil me tumhara khayal hai

Aakhein lada ke unse hum aafat mein pad gaye
Aakhon ki har zuban pe dil ka sawal hai

Bohat keh diya jo maine to ab bolte nahi
Itni si baat ka tumhein itna khayal hai

Poochha jo unse jante ho tum Jalil ko
Bole ke haan woh shayar-e-nazuk-khayal hai.

No comments:

Post a Comment