October 25, 2017

yaar ki soorat



Ehbab ki soorat ho ke aghyaar ki soorat,
Har chehre main aati hai nazar yaar ki soorat,

Jis ankh ne dekha tujhe, us ankh ko dekhoon,
Hai iss ke siwa kya tere deedar ki soorat,

Pehchan liya tujh ko teri sheesha-gari se,
Aati hai nazar fann se hi funkaar ki soorat,

Surat meri ankhon main samaye gi na koi,
Nazron main bassi rehti hai sarkaar ki soorat,

Dil hath pe rakha hai koi hai jo khareede,
Dekhoon to zara main bhi kharidaar ki soorat,

Ashqon ne bayan kar hi diya raz-e-tamanna,
Hum soch rahe thay abhi izhar ki soorat,

Wasif ki sar-e-dar pukara hai kisi ne,
Inkaar ki surat hai na izhaar ki soorat..

No comments:

Post a Comment